aah se dil ka dagh jalta hai
aah se dil kā daaġh jaltā hai
yā havā meñ charāġh jaltā hai
ātish-e-gul se baaġh jaltā hai
gul nahīñ hai charāġh jaltā hai
sīna-e-sāf meñ nahīñ hai daaġh
ā.īne meñ charāġh jaltā hai
ham jo rote haiñ yaar hañstā hai
lab-e-dariyā charāġh jaltā hai
sāmne garmī-e-suḳhan ke mire
kab kisī kā charāġh jaltā hai
dekh saktā nahīñ faroġh-e-suḳhan
ham se 'qābil' charāġh jaltā hai
aah se dil ka dagh jalta hai
ya hawa mein charagh jalta hai
aatish-e-gul se bagh jalta hai
gul nahin hai charagh jalta hai
sina-e-saf mein nahin hai dagh
aaine mein charagh jalta hai
hum jo rote hain yar hansta hai
lab-e-dariya charagh jalta hai
samne garmi-e-suKHan ke mere
kab kisi ka charagh jalta hai
dekh sakta nahin farogh-e-suKHan
hum se 'qabil' charagh jalta hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 243)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.