taDap uTTha to samjhane se phir kab dil Thaharta hai
taḌap uTThā to samjhāne se phir kab dil Thahartā hai
mohabbat meñ yahī ik kaam to mushkil Thahartā hai
nigāh-e-ishq kā markaz kabhī to dil Thahartā hai
kabhī terā hī jalva ai mah-e-kāmil Thahartā hai
safīna kab hamārā duur rahtā hai kināre se
jahāñ ham Dāleñge lañgar vahīñ sāhil Thahartā hai
taDap uTTha to samjhane se phir kab dil Thaharta hai
mohabbat mein yahi ek kaam to mushkil Thaharta hai
nigah-e-ishq ka markaz kabhi to dil Thaharta hai
kabhi tera hi jalwa ai mah-e-kaamil Thaharta hai
safina kab hamara dur rahta hai kinare se
jahan hum Dalenge langar wahin sahil Thaharta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.