Takra gai thi unki nazar se nazar kahin
Takra gai thi unki nazar se nazar kahin
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
Takrā ga.ī thī un kī nazar se nazar kahīñ
dil ko mire na chain milā umr-bhar kahīñ
ho jā.iye kabhī na kabhī jalva-gar kahīñ
sar phoḌ le na aap kā āshufta-sar kahīñ
qalb-o-nazar meñ hashr bapā jān-e-muztarib
us raah se huā na ho un kā guzar kahīñ
ai chārasāz sar na khapā apnī raah le
achchhā huā hai 'ishq meñ zaḳhm-e-jigar kahīñ
lillāh aap husn ke tevar sañbāliye
barbād ho na jaa.e matā.a-e-nazar kahīñ
kahnā paḌegī khul ke mujhe dāstān-e-dil
jab chhiḌ ga.ī to baat huī muḳhtasar kahīñ
majrūh nesh-e-vaqt kā allāh-re ’ilāj
marham kahīñ hai zaḳhm kahīñ chāra-gar kahīñ
dil chāhtā hai shām-e-tamannā shab-e-visāl
lekin Dhale to ġham kī kaḌī dopahar kahīñ
mujh se khī.che hue haiñ to ḳhush haiñ vo ġhair se
us ne lagā.ī ho na idhar kī udhar kahīñ
miltā hai āj-kal hameñ ik shaḳhs is tarah
begāna-vār vo bhī sar-e-rah-guzar kahīñ
suntā huuñ luuT lete haiñ vo ik nigāh meñ
ḳhud bhī na luT gayā ho mirā nāma-bar kahīñ
aa.e haiñ aap aur mire ghar zahe-nasīb
dhokā na khā rahī ho ye merī nazar kahīñ
socheñ to kah rahe haiñ kise be-vafā 'nasīr'
ilzām aa na jaa.e ye apne hī sar kahīñ
Takra gai thi un ki nazar se nazar kahin
dil ko mere na chain mila umr-bhar kahin
ho jaiye kabhi na kabhi jalwa-gar kahin
sar phoD le na aap ka aashufta-sar kahin
qalb-o-nazar mein hashr bapa jaan-e-muztarib
us rah se hua na ho un ka guzar kahin
ai chaarasaz sar na khapa apni rah le
achchha hua hai 'ishq mein zaKHm-e-jigar kahin
lillah aap husn ke tewar sanbaaliye
barbaad ho na jae mataa-e-nazar kahin
kahna paDegi khul ke mujhe dastan-e-dil
jab chhiD gai to baat hui muKHtasar kahin
majruh nesh-e-waqt ka allah-re ’ilaj
marham kahin hai zaKHm kahin chaara-gar kahin
dil chahta hai sham-e-tamanna shab-e-visal
lekin Dhale to gham ki kaDi dopahar kahin
mujh se khiche hue hain to KHush hain wo ghair se
us ne lagai ho na idhar ki udhar kahin
milta hai aaj-kal hamein ek shaKHs is tarah
begana-war wo bhi sar-e-rah-guzar kahin
sunta hun luT lete hain wo ek nigah mein
KHud bhi na luT gaya ho mera nama-bar kahin
aae hain aap aur mere ghar zahe-nasib
dhoka na kha rahi ho ye meri nazar kahin
sochen to kah rahe hain kise be-wafa 'nasir'
ilzam aa na jae ye apne hi sar kahin
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 709)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.