tere aashiq tere shaida ka ye haal
tere 'āshiq tere shaidā kā ye haal
haa.e kaise tujh se dekhā jaa.e hai
manzil-e-maqsūd paave hai vahī
jo tire rasta meñ khoyā jaa.e hai
uTh rahā hai dard-e-dil jab bār-bār
dil se pūchho kaahe baiThā jaa.e hai
ab bulāvā aa rahā hai yaar kā
do-qadam bhī jab na jaayā jaa.e hai
tere 'ashiq tere shaida ka ye haal
hae kaise tujh se dekha jae hai
manzil-e-maqsud pawe hai wahi
jo tere rasta mein khoya jae hai
uTh raha hai dard-e-dil jab bar-bar
dil se puchho kahe baiTha jae hai
ab bulawa aa raha hai yar ka
do-qadam bhi jab na jaya jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.