tere mizhgāñ hī na pahlū mārte haiñ tere
tere mizhgāñ hī na pahlū mārte haiñ tere
ham-sarī rakhte haiñ abrū bhī dam-e-shamshīr se
dekh ye kartā hai ġham kī lazzateñ ham par harām
ho samajh kar āshnā ai naala Tuk tāsīr se
huuñ maiñ vo dīvāna-e-nāzuk-mizāj-e-gul-ruḳhāñ
kījiye zanjīr jis ko sāya-e-zanjīr se
soz-e-dil kyūñkar karūñ us shoḳh ke aage bayāñ
sham.a kī mānind jaltī hai zabāñ taqrīr se
garche hooñ 'bedār' ġharq-e-ma.asiyat sar-tā-ba-pā
par umīd-e-maġhfirat hai shabbar-o-shabbīr se
tere mizhgāñ hī na pahlū mārte haiñ tere
ham-sarī rakhte haiñ abrū bhī dam-e-shamshīr se
dekh ye kartā hai ġham kī lazzateñ hum par harām
ho samajh kar āshnā ai nala Tuk tāsīr se
huñ maiñ wo dīwāna-e-nāzuk-mizāj-e-gul-ruḳhāñ
kījiye zanjīr jis ko sāya-e-zanjīr se
soz-e-dil kyūñkar karūñ us shoḳh ke aage bayāñ
shama kī mānind jaltī hai zabāñ taqrīr se
garche hooñ 'bedār' ġharq-e-masiyat sar-tā-ba-pā
par umīd-e-maġhfirat hai shabbar-o-shabbīr se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.