thi mohabbat kabhi faqat tum se
thī mohabbat kabhī faqat tum se
aaj har chiiz ban ga.ī mahbūb
the kabhī tum hī markaz-e-ḳhūbī
aaj koī bhī shai nahīñ nā-ḳhūb
aaj matlūb zarra zarra hai
tum hī tum the kabhī merā matlūb
ishq mansūb thā kabhī tum se
aaj tum bhī ho ishq se mansūb
maiñ nahīñ maiñ na aaj tum ho tum
ho ga.e ek tālib-o-matlūb
ishq tanhā haqīqat-e-a.alam
ye haqīqat majāz se mahjūb
hosh hai juzv aur mastī kul
husn sālik hai ishq hai majzūb
hoshiyārī hai husn meñ ḳhūbī
hoshiyārī hai ishq meñ ma.ayūb
ik tabassum hai dūsrā hai aah
ek yūsuf hai dūsrā yāqūb
be-qarārī meñ ishq giriyā-e-nūh
sabr meñ ishq hazrat-e-ayyūb
rāh-e-iḳhlās meñ ḳhalīl hai ishq
ishq meñ vahm-e-ġhair hai maslūb
thi mohabbat kabhi faqat tum se
aaj har chiz ban gai mahbub
the kabhi tum hi markaz-e-KHubi
aaj koi bhi shai nahin na-KHub
aaj matlub zarra zarra hai
tum hi tum the kabhi mera matlub
ishq mansub tha kabhi tum se
aaj tum bhi ho ishq se mansub
main nahin main na aaj tum ho tum
ho gae ek talib-o-matlub
ishq tanha haqiqat-e-alam
ye haqiqat majaz se mahjub
hosh hai juzw aur masti kul
husn salik hai ishq hai majzub
hoshiyari hai husn mein KHubi
hoshiyari hai ishq mein mayub
ek tabassum hai dusra hai aah
ek yusuf hai dusra yaqub
be-qarari mein ishq giriya-e-nuh
sabr mein ishq hazrat-e-ayyub
rah-e-iKHlas mein KHalil hai ishq
ishq mein wahm-e-ghair hai maslub
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 54)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.