Sufinama

tirā ġham rahe salāmat yahī merī zindagī hai

Fana Bulandshahri

tirā ġham rahe salāmat yahī merī zindagī hai

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    tirā ġham rahe salāmat yahī merī zindagī hai

    tire ġham se mere jānāñ mire dil meñ raushnī hai

    mirī mai-kashī hāsil vo sharāb ban ga.ī hai

    jo milī tirī nazar se jo tirī nazar se hai

    tujhe sāmne biThā kar sadā pūjtā rahūñ maiñ

    hai yahī mirī ibādat yahī merī bandagī hai

    mire dil meñ basne vaale tujhe kaise bhuul jā.ūñ

    tirā ishq merā maz.hab tirī yaad zindagī hai

    mirī iltijā hai tujh se mirī bandagī badal de

    ki tire karam mirī jaañ mirī lau lagī huī hai

    maiñ faqīr āstāñ huuñ mirī laaj rakh ḳhudārā

    ye jabīn-e-shauq merī tire dar pe jhuk ga.ī hai

    maiñ 'fanā' manziloñ meñ huuñ fanā ki ba.ad zinda

    tirī aarzū meñ miT kar mujhe zindagī milī hai

    tirā ġham rahe salāmat yahī merī zindagī hai

    tere ġham se mere jānāñ mere dil meñ raushnī hai

    mirī mai-kashī hāsil wo sharāb ban gaī hai

    jo milī tirī nazar se jo tirī nazar se hai

    tujhe sāmne biThā kar sadā pūjtā rahūñ maiñ

    hai yahī mirī ibādat yahī merī bandagī hai

    mere dil meñ basne wale tujhe kaise bhul jāūñ

    tirā ishq merā mazhab tirī yaad zindagī hai

    mirī iltijā hai tujh se mirī bandagī badal de

    ki tere karam mirī jañ mirī lau lagī huī hai

    maiñ faqīr āstāñ huñ mirī laj rakh ḳhudārā

    ye jabīn-e-shauq merī tere dar pe jhuk gaī hai

    maiñ 'fanā' manziloñ meñ huñ fanā ki baad zinda

    tirī aarzū meñ miT kar mujhe zindagī milī hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now