teri mahfil mein teri hi mohabbat khinch lai hai
tarī mahfil meñ terī hī mohabbat khīñch laa.ī hai
mirā zauq-e-nazar terā hī shauq-e-ḳhud-numā.ī hai
tajallī se kabhī dil kī tasallī ho nahīñ saktī
kahāñ ye aañkh manūs-e-hijābāt-e-ziyā.ī hai
mohabbat se har ik shai meñ hue āsār-e-shai paidā
mohabbat kī ḳhudā.ī hai mohabbat hī ḳhudā.ī hai
ḳhudā yaad aa rahā hai husn-e-īmāñ-soz-e-sāqī se
kamāl-e-pārsā.ī aaj tark-e-pārsā.ī hai
bahāreñ farsh ho ho kar bichhī jaatī haiñ gulshan meñ
’urūs-e-subh-e-gul ho kar javānī muskurā.ī hai
'zahīn' is dahr meñ hai madd-o-jazr-e-zindagi us se
mohabbat sāz-e-dil par jin suroñ se gungunā.ī hai
tari mahfil mein teri hi mohabbat khinch lai hai
mera zauq-e-nazar tera hi shauq-e-KHud-numai hai
tajalli se kabhi dil ki tasalli ho nahin sakti
kahan ye aankh manus-e-hijabaat-e-ziyai hai
mohabbat se har ek shai mein hue aasar-e-shai paida
mohabbat ki KHudai hai mohabbat hi KHudai hai
KHuda yaad aa raha hai husn-e-iman-soz-e-saqi se
kamal-e-parsai aaj tark-e-parsai hai
bahaaren farsh ho ho kar bichhi jati hain gulshan mein
’urus-e-subh-e-gul ho kar jawani muskurai hai
'zahin' is dahr mein hai madd-o-jazr-e-zindagi us se
mohabbat saz-e-dil par jin suron se gungunai hai
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 199)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.