tujh bin ārām-e-jāñ kahāñ hai mujhe
tujh bin ārām-e-jāñ kahāñ hai mujhe
zindagānī vabāl-e-jāñ hai mujhe
gar yahī dard-e-hijr hai terā
ziist kā apnī kab gumāñ hai mujhe
misl-e-tūtī hazār ma.anī meñ
sehr-e-sāz-e-suḳhan zabāñ hai mujhe
hai ḳhayāl us kā māna-e-guftār
varna sau quvvat-e-bayāñ hai mujhe
ḳhāmushī be-sabab nahīñ 'bedār'
bā.is-e-zīstan dahāñ hai mujhe
tujh bin ārām-e-jāñ kahāñ hai mujhe
zindagānī wabāl-e-jāñ hai mujhe
gar yahī dard-e-hijr hai terā
zist kā apnī kab gumāñ hai mujhe
misl-e-tūtī hazār manī meñ
sehr-e-sāz-e-suḳhan zabāñ hai mujhe
hai ḳhayāl us kā māna-e-guftār
warna sau quwwat-e-bayāñ hai mujhe
ḳhāmushī be-sabab nahīñ 'bedār'
bāis-e-zīstan dahāñ hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.