Sufinama

tujhe DhūñDhtī haiñ nazreñ mujhe ek jhalak dikhā jā

Fana Bulandshahri

tujhe DhūñDhtī haiñ nazreñ mujhe ek jhalak dikhā jā

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    tujhe DhūñDhtī haiñ nazreñ mujhe ik jhalak dikhā

    mirī zindagī ke mālik mirī zindagī meñ aa

    na ġharaz sanam-kade se na haram se koī matlab

    mujhe vāsta hai tujh se mire dil meñ samā

    bichhaḌ gayā hai jab se mirī niiñd uḌ ga.ī hai

    tirī raah tak rahā huuñ mire chāñd ab to aa

    mujhe dard de ke apnā kahāñ chhupā hai kar

    mirā dil churāne vaale mujhe shakl to dikhā

    tirā dard ban gayā hai mirī zindagī hāsil

    mire dil pe haath rakh de zarā hausla baḌhā

    mujhe aa ke de sahārā ye qadam na Dagmagā.eñ

    kahīñ maiñ bhaTak na jā.ūñ mujhe rāsta dikhā

    mire naam nishānī na rahe jahāñ meñ baaqī

    mirī jaan lene vaale mirī qabr bhī miTā

    tire husn pe fidā huuñ tire ishq meñ 'fanā' huuñ

    mujhe terī aarzū hai mirī ḳhalvatoñ meñ aa

    tujhe DhūñDhtī haiñ nazreñ mujhe ek jhalak dikhā

    mirī zindagī ke mālik mirī zindagī meñ aa

    na ġharaz sanam-kade se na haram se koī matlab

    mujhe wāsta hai tujh se mere dil meñ samā

    bichhaḌ gayā hai jab se mirī niñd uḌ gaī hai

    tirī rah tak rahā huñ mere chāñd ab to aa

    mujhe dard de ke apnā kahāñ chhupā hai kar

    mirā dil churāne wale mujhe shakl to dikhā

    tirā dard ban gayā hai mirī zindagī hāsil

    mere dil pe hath rakh de zarā hausla baḌhā

    mujhe aa ke de sahārā ye qadam na Dagmagāeñ

    kahīñ maiñ bhaTak na jāūñ mujhe rāsta dikhā

    mere nam nishānī na rahe jahāñ meñ baqī

    mirī jaan lene wale mirī qabr bhī miTā

    tere husn pe fidā huñ tere ishq meñ 'fanā' huñ

    mujhe terī aarzū hai mirī ḳhalwatoñ meñ aa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now