tum ek nigah kabhi dil pe Dal kar dekho
tum ek nigah kabhi dil pe Dal kar dekho
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
tum ik nigāh kabhī dil pe Daal kar dekho
us aa.ine kī zarā dekh bhaal kar dekho
chalo ye zo.am bhī apnā nikāl kar dekho
tumhāre dar pe huuñ ab mujhe Taal kar dekho
javāb tum ko milegā savāl kar dekho
hamārī āñkhoñ meñ āñkheñ to Daal kar dekho
tumārī raah meñ miTnā hai zindagī merī
yaqīn nahīñ to mujhe pā.emāl kar dekho
ye ġhair hai na kisī kā huā na hogā kabhī
tum āstīn meñ ye saañp paal kar dekho
baḌā hī lutf thā aapas kī us mohabbat meñ
jo ho sake to vo rishte bahāl kar dekho
hazār tāḌne vaale haiñ in ishāroñ ke
idhar udhar bhī zarā dekh-bhāl kar dekho
janāb-e-shaiḳh kisī kī kabhī nahīñ sunte
natīja kuchh bhī nahīñ qīl-o-qāl kar dekho
ḳhumār meñ hoñ to rindoñ kā imtihāñ be-sūd
maza to jab hai ki sāġhar uchhāl kar dekho
nazar kī Thes lagegī to hogā chaknā-chūr
dil ā.īna hai zarā tum sambhāl kar dekho
ummīd-e-vasl nahīñ kuchh javāb to deñge
'nasīr' aaj tum un se savāl kar dekho
tum ek nigah kabhi dil pe Dal kar dekho
us aaine ki zara dekh bhaal kar dekho
chalo ye zoam bhi apna nikal kar dekho
tumhaare dar pe hun ab mujhe Tal kar dekho
jawab tum ko milega sawal kar dekho
hamari aankhon mein aankhen to Dal kar dekho
tumari rah mein miTna hai zindagi meri
yaqin nahin to mujhe paemal kar dekho
ye ghair hai na kisi ka hua na hoga kabhi
tum aastin mein ye sanp pal kar dekho
baDa hi lutf tha aapas ki us mohabbat mein
jo ho sake to wo rishte bahaal kar dekho
hazar taDne wale hain in ishaaron ke
idhar udhar bhi zara dekh-bhaal kar dekho
janab-e-shaiKH kisi ki kabhi nahin sunte
natija kuchh bhi nahin qil-o-qal kar dekho
KHumar mein hon to rindon ka imtihan be-sud
maza to jab hai ki saghar uchhaal kar dekho
nazar ki Thes lagegi to hoga chakna-chur
dil aaina hai zara tum sambhaal kar dekho
ummid-e-wasl nahin kuchh jawab to denge
'nasir' aaj tum un se sawal kar dekho
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 723)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.