tumhein hum apna dil samjhe tumhein apni nazar jaana
tumhein hum apna dil samjhe tumhein apni nazar jaana
Aziz Warsi Dehlvi
MORE BYAziz Warsi Dehlvi
tumheñ ham apnā dil samjhe tumheñ apnī nazar jaanā
magar tum ne hamāre ishq ko nā-mo'tabar jaanā
mirī zauq-e-jabīñ saaqī kā aalam hī nirālā hai
ki har zarre ko maiñ ne aap hī kā sañg-e-dar jaanā
ham apne azm par qaa.em rahe rāh-e-mohabbat meñ
na āġhāz-e-safar samjhe na anjām-e-safar jaanā
zamāne kī nigāhoñ meñ tumhīñ tum the tumhīñ tum ho
burā kyā hai jo maiñ ne bhī tumheñ jān-e-nazar jaanā
nazāra kar rahe haiñ aaj vo merī tabāhī kā
'azīz-vārsī' achchhā nahīñ aise meñ mar jaanā
tumhein hum apna dil samjhe tumhein apni nazar jaana
magar tum ne hamare ishq ko na-mo'tabar jaana
meri zauq-e-jabin saqi ka aalam hi nirala hai
ki har zarre ko main ne aap hi ka sang-e-dar jaana
hum apne azm par qaem rahe rah-e-mohabbat mein
na aaghaz-e-safar samjhe na anjam-e-safar jaana
zamane ki nigahon mein tumhin tum the tumhin tum ho
bura kya hai jo main ne bhi tumhein jaan-e-nazar jaana
nazara kar rahe hain aaj wo meri tabahi ka
'aziz-warsi' achchha nahin aise mein mar jaana
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 30)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.