kahte hain ahal mohabbat jis ko mearaj-e-baqa
kahte haiñ ahal mohabbat jis ko me.arāj-e-baqā
nuur ban kar tere jalvoñ meñ hī kho jaane kā naam
sher kyā hai chand jazbātī tamavvuj kā milāp
shā.irī kyā hai unheñ maujoñ meñ bah jaane kā naam
zindagī ke marhaloñ meñ aman kī 'turfa' talāsh
zindagī hai har qadam par Thokareñ khāne kā naam
kahte hain ahal mohabbat jis ko mearaj-e-baqa
nur ban kar tere jalwon mein hi kho jaane ka nam
sher kya hai chand jazbaati tamawwuj ka milap
shairi kya hai unhen maujon mein bah jaane ka nam
zindagi ke marhalon mein aman ki 'turfa' talash
zindagi hai har qadam par Thokaren khane ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.