tu samajhta hai koi nala-e-shabgir ka dard
tu samajhta hai koi nala-e-shabgir ka dard
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
tū samajhtā hai koī nāla-e-shabgīr kā dard
jis ke dil meñ chubhe jaane vahī us tiir kā dard
zulf kī jaane balā dil pe jo guzrī guzrī
jis ke paañv meñ paḌe jaane vo zanjīr kā dard
tālib-e-'iash-o-kHushī yaar jahāñ ke sab haiñ
kaun suntā hai kahūñ jo dil-e-dil-gīr kā dard
multajī hoñ jo falātūñ se yahī bātil hai
'ishq' jaatā nahīñ tadbīr se taqdīr kā dard
tu samajhta hai koi nala-e-shabgir ka dard
jis ke dil mein chubhe jaane wahi us tir ka dard
zulf ki jaane bala dil pe jo guzri guzri
jis ke panw mein paDe jaane wo zanjir ka dard
talib-e-'iash-o-kHushi yar jahan ke sab hain
kaun sunta hai kahun jo dil-e-dil-gir ka dard
multaji hon jo falatun se yahi baatil hai
'ishq' jata nahin tadbir se taqdir ka dard
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.