tur wale teri tanwir liye baiThe hain
tuur vaale tirī tanvīr liye baiThe haiñ
ham tujhī ko but-e-be-pīr liye baiThe haiñ
jigar o dil kī na pūchho jigar o dil mere
nigah-e-nāz ke do tiir liye baiThe haiñ
in ke gesū dil-e-ushshāq phañsāne ke liye
jā-ba-jā halqa-e-zanjīr liye baiThe haiñ
ai tirī shaan ki qatroñ meñ hai dariyā jaarī
zarre ḳhurshīd kī tanvīr liye baiThe haiñ
phir vo kyā chiiz hai jo dil meñ utar jaatī hai
teġh paas un ke na vo tiir liye baiThe haiñ
mai-e-ishrat se bhare jaate haiñ aġhyār ke jaam
ham tahī kāsa-e-taqdīr liye baiThe haiñ
kishvar-o-’ishq meñ muhtāj kahāñ haiñ 'bedam'
qais-o-farhād kī jāgīr liye baiThe haiñ
tur wale teri tanwir liye baiThe hain
hum tujhi ko but-e-be-pir liye baiThe hain
jigar o dil ki na puchho jigar o dil mere
nigah-e-naz ke do tir liye baiThe hain
in ke gesu dil-e-ushshaq phansane ke liye
ja-ba-ja halqa-e-zanjir liye baiThe hain
ai teri shan ki qatron mein hai dariya jari
zarre KHurshid ki tanwir liye baiThe hain
phir wo kya chiz hai jo dil mein utar jati hai
tegh pas un ke na wo tir liye baiThe hain
mai-e-ishrat se bhare jate hain aghyar ke jam
hum tahi kasa-e-taqdir liye baiThe hain
kishwar-o-’ishq mein muhtaj kahan hain 'bedam'
qais-o-farhad ki jagir liye baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.