ujālā kar ke zulmat meñ ghirā huñ
ujālā kar ke zulmat meñ ghirā huuñ
charāġh-e-rahguzar thā bujh gayā huuñ
tirī tasvīr kaise ban sakegī
har ik saada varaq ko dekhtā huuñ
mujhe tūfān se shikva nahīñ hai
halāk-e-be-ruḳhī-e-nāḳhudā huuñ
tire tīroñ kā andāza karūñgā
abhī to zaḳhm dil ke gun gā rahā huuñ
tumheñ sūraj nazar ā.eñge apne
maiñ ā.īna huuñ aur TuuTā huā huuñ
sabā āhista āhista uḌūñgā
maiñ dast-e-nāz kā rañg-e-hinā huuñ
ujālā kar ke zulmat meñ ghirā huñ
charāġh-e-rahguzar thā bujh gayā huñ
tirī taswīr kaise ban sakegī
har ek sada waraq ko dekhtā huñ
mujhe tūfān se shikwa nahīñ hai
halāk-e-be-ruḳhī-e-nāḳhudā huñ
tere tīroñ kā andāza karūñgā
abhī to zaḳhm dil ke gun gā rahā huñ
tumheñ sūraj nazar āeñge apne
maiñ āīna huñ aur TuTā huā huñ
sabā āhista āhista uḌūñgā
maiñ dast-e-nāz kā rañg-e-hinā huñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.