ulfat mein teri jo mar gaya hun
ulfat meñ terī jo mar gayā huuñ
aap apne meñ dard kī davā huuñ
kyā chāhūñ ba-juz tire ilāhī
bas tujh se tujhī ko chāhtā huuñ
bas ek yahī hai jurm merā
sau jaan se aap par fidā huuñ
go terī rah-e-talab meñ juuñ ḳhaak
meñ surma-e-dīda-e-sabā huuñ
dil meñ hai ḳhayāl-e-nayyar
meñ mahv jamāl-e-dil-rubā huuñ
ulfat mein teri jo mar gaya hun
aap apne mein dard ki dawa hun
kya chahun ba-juz tere ilahi
bas tujh se tujhi ko chahta hun
bas ek yahi hai jurm mera
sau jaan se aap par fida hun
go teri rah-e-talab mein jun KHak
mein surma-e-dida-e-saba hun
dil mein hai KHayal-e-nayyar
mein mahw jamal-e-dil-ruba hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.