Sufinama

un ke jalwoñ pe hama-waqt nazar hotī hai

Fana Bulandshahri

un ke jalwoñ pe hama-waqt nazar hotī hai

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    un ke jalvoñ pe hama-vaqt nazar hotī hai

    kūcha-e-yār meñ yuuñ apnī basar hotī hai

    jaane kyā chiiz mohabbat nazar hotī hai

    vo jidhar hote haiñ duniyā udhar hotī hai

    hosh vaale merī vahshat ko bhalā kyā samjheñ

    un ke dīvānoñ ko aalam ḳhabar hotī hai

    ishq meñ chāñd-sitāroñ haqīqat kyā ho

    jalva-e-yār pe qurbān sahar hotī hai

    aap yaad se hotā hai mirā dil raushan

    aap ko dekh ke bedār nazar hotī hai

    merī un ko na ḳhabar ho ye koī baat nahīñ

    un ko to saare zamāne ḳhabar hotī hai

    jazba-e-ishq meñ jannat tamannā kaisī

    ye bulandī to mirī gard-e-safar hotī hai

    hech hotī hai nigāhoñ meñ matā-e-kaunain

    mere dilbar nazar jab bhī idhar hotī hai

    mere dāman meñ samā jaate haiñ donoñ aalam

    mere jānāñ nazar jab bhī idhar hotī hai

    aur kyā hogī mire ishq me.arāj 'fanā'

    zindagī yaar ke qadmoñ meñ basar hotī hai

    un ke jalwoñ pe hama-waqt nazar hotī hai

    kūcha-e-yār meñ yuñ apnī basar hotī hai

    jaane kyā chiz mohabbat nazar hotī hai

    wo jidhar hote haiñ duniyā udhar hotī hai

    hosh wale merī wahshat ko bhalā kyā samjheñ

    un ke dīwānoñ ko aalam ḳhabar hotī hai

    ishq meñ chāñd-sitāroñ haqīqat kyā ho

    jalwa-e-yār pe qurbān sahar hotī hai

    aap yaad se hotā hai mirā dil raushan

    aap ko dekh ke bedār nazar hotī hai

    merī un ko na ḳhabar ho ye koī baat nahīñ

    un ko to sare zamāne ḳhabar hotī hai

    jazba-e-ishq meñ jannat tamannā kaisī

    ye bulandī to mirī gard-e-safar hotī hai

    hech hotī hai nigāhoñ meñ matā-e-kaunain

    mere dilbar nazar jab bhī idhar hotī hai

    mere dāman meñ samā jate haiñ donoñ aalam

    mere jānāñ nazar jab bhī idhar hotī hai

    aur kyā hogī mere ishq mearāj 'fanā'

    zindagī yar ke qadmoñ meñ basar hotī hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now