Sufinama

wasila hai mujhe kis ka nizamuddin chishti ka

Unknown

wasila hai mujhe kis ka nizamuddin chishti ka

Unknown

MORE BYUnknown

    Interesting Fact

    منقبت درشان محبوب الٰہی خواجہ نظام الدین اؤلیا (دہلی-بھارت)

    vasīla hai mujhe kis nizāmuddīn chishtī

    ki maiñ dil se huā banda nizāmuddīn chishtī

    usī manzil meñ ai kHizr-e-nazar jannat ke raste haiñ

    dikhā bahr-e-ḳhudā kūcha nizāmuddīn chishtī

    mirī vahshat meñ ’ālam-e-vajd haq paidā hai

    huā huuñ jab se dīvāna nizāmuddīn chishtī

    ilāhī kyuuñ sabā chaltī hai itrātī huī aise

    kahīñ dekhā na ho kūcha nizāmuddīn chishtī

    rahe kin hasratoñ se hasrat-e-dīdār āñkhoñ meñ

    na dekhā ik nazar chehra nizāmuddīn chishtī

    wasila hai mujhe kis ka nizamuddin chishti ka

    ki main dil se hua banda nizamuddin chishti ka

    usi manzil mein ai kHizr-e-nazar jannat ke raste hain

    dikha bahr-e-KHuda kucha nizamuddin chishti ka

    meri wahshat mein ’alam-e-wajd ka hu haq ka paida hai

    hua hun jab se diwana nizamuddin chishti ka

    ilahi kyun saba chalti hai itraati hui aise

    kahin dekha na ho kucha nizamuddin chishti ka

    rahe kin hasraton se hasrat-e-didar aankhon mein

    na dekha ek nazar chehra nizamuddin chishti ka

    Source :
    • Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 4)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now