us gul ko bhejnā hai mujhe ḳhat sabā ke hath
us gul ko bhejnā hai mujhe ḳhat sabā ke hath
Mirza Mazhar Jan-e-Janan
MORE BYMirza Mazhar Jan-e-Janan
us gul ko bhejnā hai mujhe ḳhat sabā ke haath
is vāste lagā huuñ chaman kī havā ke haath
barg-e-hinā uupar likho ahvāl-e-dil mirā
shāyad ki jā lage vo kisī mīrzā ke haath
āzād ho rahā huuñ do aalam kī qaid se
miinā lagā hai jab se ki kuchh be-navā ke haath
martā huuñ mīrzā.i-e-gul dekh har sahar
sūraj ke haath chunarī to pañkhā sabā ke haath
'maz.har' chhupā ke rakh dil-e-nāzuk ko apne tū
ye shīsha bechnā hai kisī mīrzā ke haath
us gul ko bhejnā hai mujhe ḳhat sabā ke hath
is wāste lagā huñ chaman kī hawā ke hath
barg-e-hinā upar likho ahwāl-e-dil mirā
shāyad ki jā lage wo kisī mīrzā ke hath
āzād ho rahā huñ do aalam kī qaid se
minā lagā hai jab se ki kuchh be-nawā ke hath
martā huñ mīrzāi-e-gul dekh har sahar
sūraj ke hath chunarī to pañkhā sabā ke hath
'mazhar' chhupā ke rakh dil-e-nāzuk ko apne tū
ye shīsha bechnā hai kisī mīrzā ke hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.