us ka jalwa tu ayan hai koi mastur nahin
us kā jalva tū ayaañ hai koī mastūr nahīñ
dekh le aañkh magar us ko ye dastūr nahīñ
kabhī jalne kā nahīñ laakh hoñ jalve us par
hai ye naḳhl-e-dil-e-āshiq shajar-e-tūr nahīñ
kyuuñ na dozaḳh bhī ho jannat mujhe jab ḳhud vo kahe
is gunahgār ko le jaao ye maġhfūr nahīñ
us ka jalwa tu ayan hai koi mastur nahin
dekh le aankh magar us ko ye dastur nahin
kabhi jalne ka nahin lakh hon jalwe us par
hai ye naKHl-e-dil-e-ashiq shajar-e-tur nahin
kyun na dozaKH bhi ho jannat mujhe jab KHud wo kahe
is gunahgar ko le jao ye maghfur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.