Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

usko bhī humse mohabbat ho zarūrī to nahīñ

Saba Akbarabadi

usko bhī humse mohabbat ho zarūrī to nahīñ

Saba Akbarabadi

MORE BYSaba Akbarabadi

    us ko bhī ham se mohabbat ho zarūrī to nahīñ

    ishq ishq qīmat ho zarūrī to nahīñ

    ek din aap barham-nigahī dekh chuke

    roz ik taaza qayāmat ho zarūrī to nahīñ

    merī sham.oñ ko havāoñ ne bujhāyā hogā

    ye bhī un sharārat ho zarūrī to nahīñ

    ahl-e-duniyā se marāsim bhī baratne hoñge

    har nafas sirf ibādat ho zarūrī to nahīñ

    dostī aap se lāzim hai magar is ke liye

    saarī duniyā se adāvat ho zarūrī to nahīñ

    pursish-e-hāl ko tum aaoge us vaqt mujhe

    lab hilāne bhī tāqat ho zarūrī to nahīñ

    saikḌoñ dar haiñ zamāne meñ gadā.ī ke liye

    aap dar-e-daulat ho zarūrī to nahīñ

    bāhamī rabt meñ ranjish bhī mazā detī hai

    bas mohabbat mohabbat ho zarūrī to nahīñ

    zulm ke daur se ikrāh-e-dilī kaafī hai

    ek ḳhūñ-rez baġhāvat ho zarūrī to nahīñ

    ek misra bhī jo zinda rahe kaafī hai 'sabā'

    mere har sher shohrat ho zarūrī to nahīñ

    us ko bhī hum se mohabbat ho zarūrī to nahīñ

    ishq ishq qīmat ho zarūrī to nahīñ

    ek din aap barham-nigahī dekh chuke

    roz ek taza qayāmat ho zarūrī to nahīñ

    merī shamoñ ko hawāoñ ne bujhāyā hogā

    ye bhī un sharārat ho zarūrī to nahīñ

    ahl-e-duniyā se marāsim bhī baratne hoñge

    har nafas sirf ibādat ho zarūrī to nahīñ

    dostī aap se lāzim hai magar is ke liye

    sarī duniyā se adāwat ho zarūrī to nahīñ

    pursish-e-hāl ko tum aaoge us waqt mujhe

    lab hilāne bhī tāqat ho zarūrī to nahīñ

    saikḌoñ dar haiñ zamāne meñ gadāī ke liye

    aap dar-e-daulat ho zarūrī to nahīñ

    bāhamī rabt meñ ranjish bhī mazā detī hai

    bas mohabbat mohabbat ho zarūrī to nahīñ

    zulm ke daur se ikrāh-e-dilī kafī hai

    ek ḳhūñ-rez baġhāwat ho zarūrī to nahīñ

    ek misra bhī jo zinda rahe kafī hai 'sabā'

    mere har sher shohrat ho zarūrī to nahīñ

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now