us shoKH se koi meri sifarish nahin karata
us shoKH se koi meri sifarish nahin karata
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
us shoḳh se koī merī sifārish nahīñ karatā
qāsid bhī kuchh ahvāl-e-guzārish nahīñ karatā
koī ḳhat ko mire dekhe to paanī meñ Dubo de
maiñ is liye kuchh us ko nigārish nahīñ karatā
dā'va na kar ai abr tū ham-chashmī kā mujh se
āñkhoñ se tire ḳhuun to bārish nahīñ kartā
kHāk-e-qadam-e-yār mujhe chāhiye kahhāl
surma vahī un āñkhoñ meñ ḳhārish nahīñ kartā
juz sharbat-e-dīdār mirī quvvat-e-dil ko
tajvīz 'turāb' aur javārish nahīñ kartā
us shoKH se koi meri sifarish nahin karata
qasid bhi kuchh ahwal-e-guzarish nahin karata
koi KHat ko mere dekhe to pani mein Dubo de
main is liye kuchh us ko nigarish nahin karata
da'wa na kar ai abr tu ham-chashmi ka mujh se
aankhon se tere KHun to barish nahin karta
kHak-e-qadam-e-yar mujhe chahiye kahhaal
surma wahi un aankhon mein KHarish nahin karta
juz sharbat-e-didar meri quwwat-e-dil ko
tajwiz 'turab' aur jawarish nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.