usi se KHush hai dil jis se KHafa hai
usī se ḳhush hai dil jis se ḳhafā hai
na jaane ye mujhe kyā ho gayā hai
jafā hotī rahī ye bhī vafā hai
baḌā ehsān be minnat jafā hai
na farmā.eñ sazā dene kī zahmat
mohabbat aap hī apnī sazā hai
mujhe nā-dīda jalve par gumāñ thā
ye jalva to mirā dekhā huā hai
haqīqat meñ mirā girya hī ai dost
tere lab par tabassum ban gayā hai
'zahīn' is bandagī se baaz aayā
vo kāfir kyā koī merā ḳhudā hai
usi se KHush hai dil jis se KHafa hai
na jaane ye mujhe kya ho gaya hai
jafa hoti rahi ye bhi wafa hai
baDa ehsan be minnat jafa hai
na farmaen saza dene ki zahmat
mohabbat aap hi apni saza hai
mujhe na-dida jalwe par guman tha
ye jalwa to mera dekha hua hai
haqiqat mein mera girya hi ai dost
tere lab par tabassum ban gaya hai
'zahin' is bandagi se baz aaya
wo kafir kya koi mera KHuda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.