wafa kar ke us ka sila chahta hun
wafa kar ke us ka sila chahta hun
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
vafā kar ke us kā silā chāhtā huuñ
baḌā nā-sazā huuñ sazā chāhtā huuñ
maiñ apne irāde se kyā chāhtā huuñ
ḳhudā hī kā chāhā huā chāhtā huuñ
butoñ ko barā.e ḳhudā chāhtā huuñ
sar-e-ḳham dil-e-mubtalā chāhtā huuñ
rahā 'umr bhar chup maiñ yuuñ un ke aage
ki jaise kuchh un se kahā chāhtā huuñ
satā.e bhī koī to paa.e du'ā.eñ
gadā huuñ maiñ sab kā bhalā chāhtā huuñ
jo kar de mujh gum kisī kī talab meñ
maiñ aisā koī rahnumā chāhtā huuñ
wafa kar ke us ka sila chahta hun
baDa na-saza hun saza chahta hun
main apne irade se kya chahta hun
KHuda hi ka chaha hua chahta hun
buton ko barae KHuda chahta hun
sar-e-KHam dil-e-mubtala chahta hun
raha 'umr bhar chup main yun un ke aage
ki jaise kuchh un se kaha chahta hun
satae bhi koi to pae du'aen
gada hun main sab ka bhala chahta hun
jo kar de mujh gum kisi ki talab mein
main aisa koi rahnuma chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.