wahan pahunch ke ye kahna saba salam ke baad
vahāñ pahuñch ke ye kahnā sabā salām ke ba.ad
ki tere naam kī raT hai ḳhudā ke naam ke ba.ad
shab-e-visāl bayān-e-ġham-e-firāq abas
fuzūl hai gila-e-zaḳhm iltiyām ke ba.ad
vahāñ bhī va.ada-e-dīdār is tarah Taalā
ki ḳhaas log talab hoñge bār-e-ām ke ba.ad
gunāhgār kī sun lo to saaf saaf ye hai
ki lutf-e-rahm-o-karam kiyā phir intiqām ke ba.ad
talab tamām ho matlūb kī agar had ho
lagā huā hai yahāñ kuuch har maqām ke ba.ad
vo ḳhat vo chehra vo zulf-e-siyāh to dekho
ki shaam sub.h ke ba.ad aa.e sub.h shaam ke ba.ad
tujhe kahe kyūñkar na ġhairat-e-īsā
rahā na hosh kisī ko tire kalām ke ba.ad
payāmbar ko ravāna kiyā to rashk aayā
na ham-kalām ho us se mire kalām ke ba.ad
tamām hoñ abhī jhagḌe ye lan-tarānī ke
dikhā do jalva ḳhudā-rā agar kalām ke ba.ad
abhī to dekhte haiñ zarf bāda-ḳhvāroñ kā
subū-o-ḳhum kī bhī Thahregī daur jaam ke ba.ad
ilāhī 'āsī'-e-betāb kis se chhūTā hai
ki ḳhat meñ roz-e-qayāmat likhā hai naam ke ba.ad
wahan pahunch ke ye kahna saba salam ke baad
ki tere nam ki raT hai KHuda ke nam ke baad
shab-e-visal bayan-e-gham-e-firaq abas
fuzul hai gila-e-zaKHm iltiyam ke baad
wahan bhi wada-e-didar is tarah Tala
ki KHas log talab honge bar-e-am ke baad
gunahgar ki sun lo to saf saf ye hai
ki lutf-e-rahm-o-karam kiya phir intiqam ke baad
talab tamam ho matlub ki agar had ho
laga hua hai yahan kuch har maqam ke baad
wo KHat wo chehra wo zulf-e-siyah to dekho
ki sham subh ke baad aae subh sham ke baad
tujhe kahe kyunkar na ghairat-e-isa
raha na hosh kisi ko tere kalam ke baad
payambar ko rawana kiya to rashk aaya
na ham-kalam ho us se mere kalam ke baad
tamam hon abhi jhagDe ye lan-tarani ke
dikha do jalwa KHuda-ra agar kalam ke baad
abhi to dekhte hain zarf baada-KHwaron ka
subu-o-ḳhum ki bhi Thahregi daur jam ke baad
ilahi 'asi'-e-betab kis se chhuTa hai
ki KHat mein roz-e-qayamat likha hai nam ke baad
- Book : Diwan-e-aasi (Pg. 26)
- Author : Aasi Ghazipuri
- Publication : Subhanallah Azeem Gorakhpuri (1938)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.