Sufinama

wo aur hoñge jinko haram kī talāsh hai

Fana Bulandshahri

wo aur hoñge jinko haram kī talāsh hai

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    vo aur hoñge jin ko haram talāsh hai

    mujh ko to tere naqsh-e-qadam talāsh hai

    maiñ to gunāhgār-e-mohabbat huuñ ai sanam

    mujh ko tirī nigāh-e-karam talāsh hai

    zāhid sanam-kada merī manzil nahīñ magar

    āshiq huuñ mujh ko apne sanam talāsh hai

    maiñ terā ho chukā huuñ zamāne se kyā ġharaz

    ai jān-e-jāñ mujhe tire ġham talāsh hai

    zāhid talāsh kartā huuñ apne sanam ko maiñ

    tujh ko sanam ke badle iram talāsh hai

    le kar haram meñ shaiḳh gayā diin talab

    panDit ko but-kade meñ dharam talāsh hai

    ham āshiqoñ kyā hai ye marzī hai yaar

    un sitam mile to sitam talāsh hai

    merā dharam yahī hai ki mil jaa.e mujhe

    terī justujū meñ haram talāsh hai

    maiñ to 'fanā' huuñ ishq meñ ai jaan kyā kaheñ

    tum jo atā karo usī ġham talāsh hai

    wo aur hoñge jin ko haram talāsh hai

    mujh ko to tere naqsh-e-qadam talāsh hai

    maiñ to gunāhgār-e-mohabbat huñ ai sanam

    mujh ko tirī nigāh-e-karam talāsh hai

    zāhid sanam-kada merī manzil nahīñ magar

    āshiq huñ mujh ko apne sanam talāsh hai

    maiñ terā ho chukā huñ zamāne se kyā ġharaz

    ai jān-e-jāñ mujhe tere ġham talāsh hai

    zāhid talāsh kartā huñ apne sanam ko maiñ

    tujh ko sanam ke badle iram talāsh hai

    le kar haram meñ shaiḳh gayā din talab

    panDit ko but-kade meñ dharam talāsh hai

    hum āshiqoñ kyā hai ye marzī hai yar

    un sitam mile to sitam talāsh hai

    merā dharam yahī hai ki mil jae mujhe

    terī justujū meñ haram talāsh hai

    maiñ to 'fanā' huñ ishq meñ ai jaan kyā kaheñ

    tum jo atā karo usī ġham talāsh hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now