Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

wo aur honge jinko haram ki talash hai

Fana Bulandshahri

wo aur honge jinko haram ki talash hai

Fana Bulandshahri

vo aur hoñge jin ko haram talāsh hai

mujh ko to tere naqsh-e-qadam talāsh hai

maiñ to gunāhgār-e-mohabbat huuñ ai sanam

mujh ko tirī nigāh-e-karam talāsh hai

zāhid sanam-kada mirī manzil nahīñ magar

'āshiq huuñ mujh ko apne sanam talāsh hai

maiñ terā ho chukā huuñ zamāne se kyā ġharaz

ai jān-e-jāñ mujhe tire ġham talāsh hai

zāhid talāsh karatā huuñ apne sanam ko maiñ

tujh ko sanam ke badle iram talāsh hai

le kar haram meñ shaiḳh gayā diin talab

panDit ko but-kade meñ dharam talāsh hai

ham 'āshiqoñ kyā hai ye marzī hai yaar

un sitam mile to sitam talāsh hai

merā dharam yahī hai ki mil jaa.e mujhe

terī justujū meñ haram talāsh hai

maiñ to 'fanā' huuñ 'ishq meñ ai jaan kyā kaheñ

tum jo 'atā karo usī ġham talāsh hai

wo aur honge jin ko haram ki talash hai

mujh ko to tere naqsh-e-qadam ki talash hai

main to gunahgar-e-mohabbat hun ai sanam

mujh ko teri nigah-e-karam ki talash hai

zahid sanam-kada meri manzil nahin magar

'ashiq hun mujh ko apne sanam ki talash hai

main tera ho chuka hun zamane se kya gharaz

ai jaan-e-jaan mujhe tere gham ki talash hai

zahid talash karata hun apne sanam ko main

tujh ko sanam ke badle iram ki talash hai

le kar haram mein shaiKH gaya din ki talab

panDit ko but-kade mein dharam ki talash hai

hum 'ashiqon ka kya hai ye marzi hai yar ki

un ka sitam mile to sitam ki talash hai

mera dharam yahi hai ki mil jae tu mujhe

teri hi justuju mein haram ki talash hai

main to 'fana' hun 'ishq mein ai jaan kya kahen

tum jo 'ata karo usi gham ki talash hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now