Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

wo teri nigahon ka aalam jo mast-e-kun-o-mastana tha

Zaheen Shah Taji

wo teri nigahon ka aalam jo mast-e-kun-o-mastana tha

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    vo terī nigāhoñ a.alam jo mast-e-kun-o-mastāna thā

    mai-ḳhāne mai-ḳhāna thā paimāne paimāna thā

    ābādī-e-dil a.alam bhī ik ḳhvāb thā afsāna thā

    jab aañkh lagī kāshāna thā jab aañkh khulī vīrāna thā

    mauqūf thī dil hālat par vīrānī bhī ābādī bhī

    vīrāna bhī kāshāna thā kāshāna bhī vīrāna thā

    ādāb-e-tamāshā se vāqif kab shaiḳh-o-barhaman the varna

    but-ḳhāne meñ bhī ka.aba thā ka.abe meñ bhī but-ḳhāna thā

    jab ishq meñ gum atrāf huī jab soz meñ mahv-e-jihāt huiiñ

    jo sham.a thī vo parvāna thā vo sham.a thī jo parvāna thā

    kuchh terī zulf-e-mushkīñ ke asrār khule to mastī meñ

    dīvāna thā vo hosh meñ thā jo hosh meñ thā dīvāna thā

    kyā jaane kis ne kyā samjhā andāz-e-bayān-e-'zahīn' thā kyā

    har lafz meñ ek haqīqat thī har lafz magar afsāna thā

    wo teri nigahon ka aalam jo mast-e-kun-o-mastana tha

    mai-KHane ka mai-KHana tha paimane ka paimana tha

    aabaadi-e-dil ka aalam bhi ek KHwab tha ya afsana tha

    jab aankh lagi kashana tha jab aankh khuli virana tha

    mauquf thi dil ki haalat par virani bhi aabaadi bhi

    virana bhi kashana tha kashana bhi virana tha

    aadab-e-tamasha se waqif kab shaiKH-o-barhaman the warna

    but-KHane mein bhi kaba tha kabe mein bhi but-KHana tha

    jab ishq mein gum atraf hui jab soz mein mahw-e-jihat huin

    jo shama thi wo parwana tha wo shama thi jo parwana tha

    kuchh teri zulf-e-mushkin ke asrar khule to masti mein

    diwana tha wo hosh mein tha jo hosh mein tha diwana tha

    kya jaane kis ne kya samjha andaz-e-bayan-e-'zahin' tha kya

    har lafz mein ek haqiqat thi har lafz magar afsana tha

    Source :
    • Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 46)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now