wo zindagī jo tere pyar meñ basar na huī
vo zindagī jo tire pyaar meñ basar na huī
thī aisī raat ki jis kī kabhī sahar na huī
unhī kī chaah meñ ye haal ho gayā merā
magar unhī ko mire haal kī ḳhabar na huī
sulagtī rāhoñ pe saaya thā kis kī palkoñ kā
ye kaun kahtā hai is samt vo nazar na huī
har ek moḌ pe dil ne tujhe talāsh kiyā
kisī bhī lamhe tamannā ye muntashar na huī
'ḳhalish' ye pūchhtā phirtā hai ābshāroñ se
ki kyoñ ye vādī-e-gul terī rahguzar na huī
wo zindagī jo tere pyar meñ basar na huī
thī aisī raat ki jis kī kabhī sahar na huī
unhī kī chah meñ ye haal ho gayā merā
magar unhī ko mere haal kī ḳhabar na huī
sulagtī rāhoñ pe saya thā kis kī palkoñ kā
ye kaun kahtā hai is samt wo nazar na huī
har ek moḌ pe dil ne tujhe talāsh kiyā
kisī bhī lamhe tamannā ye muntashar na huī
'ḳhalish' ye pūchhtā phirtā hai ābshāroñ se
ki kyoñ ye wādī-e-gul terī rahguzar na huī
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.