haal apna kaha nahin jata
haal apnā kahā nahīñ jaatā
dard dil kā likhā nahīñ jaatā
kHasta-o-kHār mohabbat-e-duniyā meñ
āj-kal to sunā nahīñ jaatā
'azm hai jaan se guzar jā.ūñ
ranj-e-duniyā sahā nahīñ jaatā
mujh se muflis ke haath se ai kaash
nuskHa-e-miyā nahīñ jaatā
ham ġharīboñ ko ek nazar thī bas
tum se itnā kyā nahīñ jaatā
ab chalo ai 'vasī' madīna ko
hind meñ to rahā nahīñ jaatā
haal apna kaha nahin jata
dard dil ka likha nahin jata
kHasta-o-kHar mohabbat-e-duniya mein
aaj-kal to suna nahin jata
'azm hai jaan se guzar jaun
ranj-e-duniya saha nahin jata
mujh se muflis ke hath se ai kash
nuskHa-e-miya nahin jata
hum gharibon ko ek nazar thi bas
tum se itna kya nahin jata
ab chalo ai 'wasi' madina ko
hind mein to raha nahin jata
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 45)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.