Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ya-rab na hind hi meñ ye maTi KHarab ho

Ehsanullah Khan Bayan

ya-rab na hind hi meñ ye maTi KHarab ho

Ehsanullah Khan Bayan

MORE BYEhsanullah Khan Bayan

    yārab na hind meñ ye maaTī ḳharāb ho

    kar najaf meñ ḳhāk-e-dar-e-bū-turāb ho

    saaya kare vo lutf se saaya jise na thā

    jis vaqt roz-e-hashr meñ garm āftāb ho

    hāsil ho is nafs ko sifat mutma.inna

    pesh is se irja.ī udhar se ḳhitāb ho

    jab chashm bastagī ho mujhe is jahān meñ

    āñkhoñ ke sāmne vahī ālī-janāb ho

    ai yaar yaañ to muñh na dikhāyā kabhū hameñ

    aisā na ho ki vaañ bhī 'bayāñ' se hijāb ho

    yarab na hind hi meñ ye maTi KHarab ho

    ja kar najaf mein KHak-e-dar-e-bu-turab ho

    saya kare wo lutf se saya jise na tha

    jis waqt roz-e-hashr meñ garm aaftab ho

    hasil ho is nafs ko sifat mutmainna

    pesh is se irjai ka udhar se KHitab ho

    jab chashm bastagi ho mujhe is jahan mein

    aankhon ke samne wahi aali-janab ho

    ai yar yan to munh na dikhaya kabhu hamein

    aisa na ho ki wan bhi 'bayan' se hijab ho

    Source :
    • Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 116)
    • Author : Ahsanullaah Khan Bayan
    • Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now