ya rab sunaen hum kise ab muddu’a-e-dil
ya rab sunaen hum kise ab muddu’a-e-dil
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
yā rab sunā.eñ ham kise ab muddu’ā-e-dil
haiñ nahīñ jahāñ meñ hājat-ravā-e-dil
kyā kahiye bahr-e-shauq ab mājrā-e-dil
dil hai safīna aur vo haiñ nā-ḳhudā-e-dil
ā.īna-e-hayāt kī takmīl ke liye
lāzim hai kā.ināt meñ sidq-o-safā-e-dil
dil aur dard donoñ meñ ik rabt-e-ḳhās hai
dil āshnā-e-dard hai dard āshnā-e-dil
har Tiis jis kī terī taraf multafit kare
yā rab vo dard chāhiye mujh ko barā-e-dil
duniyā-e-dil kā haal na pūchho firāq meñ
masrūf-e-intizār haiñ subh-o-masā-e-dil
sad.hā uThā.īñ dil kī badaulat sa.ūbateñ
dekho 'nasīr' aur abhī kyā kyā dikhā.e dil
ya rab sunaen hum kise ab muddu’a-e-dil
hain nahin jahan mein hajat-rawa-e-dil
kya kahiye bahr-e-shauq ab majra-e-dil
dil hai safina aur wo hain na-KHuda-e-dil
aaina-e-hayat ki takmil ke liye
lazim hai kainat mein sidq-o-safa-e-dil
dil aur dard donon mein ek rabt-e-KHas hai
dil aashna-e-dard hai dard aashna-e-dil
har Tis jis ki teri taraf multafit kare
ya rab wo dard chahiye mujh ko bara-e-dil
duniya-e-dil ka haal na puchho firaq mein
masruf-e-intizar hain subh-o-masa-e-dil
sadha uThain dil ki badaulat saubaten
dekho 'nasir' aur abhi kya kya dikhae dil
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 887)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.