ye saqi ki karamat hai ki faiz-e-mai-parasti hai
ye saaqī kī karāmat hai ki faiz-e-mai-parastī hai
ghaTā ke bhes meñ mai-ḳhāne par rahmat barastī hai
ye jo kuchh dekhte haiñ ham fareb-e-ḳhvāb-e-hastī hai
taḳhayyul ke karishme haiñ bulandī hai na pastī hai
vahāñ haiñ ham jahāñ 'bedam' na vīrāna na bastī hai
na pābandī na āzādī na hushyārī na mastī hai
tirī nazroñ pe chaḌhnā aur tire dil se utar jaanā
mohabbat meñ bulandī jis ko kahte haiñ vo pastī hai
vahī ham the kabhī jo raat din phūloñ meñ tulte the
vahī ham haiñ ki turbat chaar phūloñ ko tarastī hai
karishme haiñ ki naqqāsh-e-azal nairañgiyāñ terī
jahāñ meñ mā.il-e-rañg-e-fanā har naqsh-e-hastī hai
ise bhī nāvak-e-jānāñ tū apne saath letā jā
ki merī aarzū dil se nikalne ko tarastī hai
har ik zarre meñ hai innī-inallāh kī sadā saaqī
ajab mai-kash the jin kī ḳhaak meñ bhī josh-e-mastī hai
ḳhudā rakkhe dil-e-pur-soz terī sho.ala-afshānī
ki tū vo sham.a hai jo raunaq-e-darbār-e-hastī hai
mire dil ke sivā tū ne bhī dekhī bekasī merī
ki ābādī na ho jis meñ koī aisī bhī bastī hai
hijābāt-e-ta.ayyun māne-e-dīdār samjhā thā
jo dekhā to naqāb-e-rū-e-jānāñ merī hastī hai
ajab duniyā-e-hairat ālam-e-gor-e-ġharībāñ hai
ki vīrāne kā vīrāna hai aur bastī kī bastī hai
kahīñ hai abd kī dhun aur kahīñ shor-e-anal-haq hai
kahīñ iḳhfā-e-mastī hai kahīñ iz.hār-e-mastī hai
banāyā rashk-e-mehr-o-mah tirī zarra-navāzī ne
nahīñ to kyā hai 'bedam' aur kyā 'bedam' kī hastī hai
ye saqi ki karamat hai ki faiz-e-mai-parasti hai
ghaTa ke bhes mein mai-KHane par rahmat barasti hai
ye jo kuchh dekhte hain hum fareb-e-KHwab-e-hasti hai
taKHayyul ke karishme hain bulandi hai na pasti hai
wahan hain hum jahan 'bedam' na virana na basti hai
na pabandi na aazadi na hushyari na masti hai
teri nazron pe chaDhna aur tere dil se utar jaana
mohabbat mein bulandi jis ko kahte hain wo pasti hai
wahi hum the kabhi jo raat din phulon mein tulte the
wahi hum hain ki turbat chaar phulon ko tarasti hai
karishme hain ki naqqash-e-azal nairangiyan teri
jahan mein mail-e-rang-e-fana har naqsh-e-hasti hai
ise bhi nawak-e-jaanan tu apne sath leta ja
ki meri aarzu dil se nikalne ko tarasti hai
har ek zarre mein hai inni-inallah ki sada saqi
ajab mai-kash the jin ki KHak mein bhi josh-e-masti hai
KHuda rakkhe dil-e-pur-soz teri shoala-afshani
ki tu wo shama hai jo raunaq-e-darbar-e-hasti hai
mere dil ke siwa tu ne bhi dekhi bekasi meri
ki aabaadi na ho jis mein koi aisi bhi basti hai
hijabaat-e-tayyun mane-e-didar samjha tha
jo dekha to naqab-e-ru-e-jaanan meri hasti hai
ajab duniya-e-hairat aalam-e-gor-e-ghariban hai
ki virane ka virana hai aur basti ki basti hai
kahin hai abd ki dhun aur kahin shor-e-anal-haq hai
kahin iKHfa-e-masti hai kahin izhaar-e-masti hai
banaya rashk-e-mehr-o-mah teri zarra-nawazi ne
nahin to kya hai 'bedam' aur kya 'bedam' ki hasti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.