zāhid is rah na aa mast haiñ mai-ḳhwār kaī
zāhid is raah na aa mast haiñ mai-ḳhvār ka.ī
abhī yaañ chhīn liye jubba-o-dastār ka.ī
sañg-dil kuuñ na kisī kī huī afsos ḳhabar
mar ga.e sar kuuñ paTak kar pas-e-dīvār ka.ī
nā-tavāñ mujh sā bhalā kaun hai insāf to kar
chashm-e-fattāñ ke tire garche haiñ bīmār ka.ī
dil kī betābī se aur chashm kī be-ḳhvābī se
nazar aane lage ab ishq ke āsār ka.ī
juuñ hī vo hosh-rubā aa ke numūdār huā
naqsh-e-dīvār hue tālib-e-dīdār ka.ī
abrū-o-chashm-o-nigāh-o-mizha har ik ḳhūñ-ḳhvār
ek dil hai mirā tis par haiñ dil-āzār ka.ī
ai masīhā-e-zamāñ dekh Tuk aa kar ahvāl
ki tirī chashm ke yaañ marte haiñ bīmār ka.ī
khīñch mat zor se shāne ko tū ai mashshāta
dil haiñ us zulf ke bāloñ meñ giraftār ka.ī
kaf-e-pā haiñ tire sahrā kī nishānī 'bedār'
mar gayā to bhī phaphūloñ meñ rahe ḳhaar ka.ī
zāhid is rah na aa mast haiñ mai-ḳhwār kaī
abhī yañ chhīn liye jubba-o-dastār kaī
sañg-dil kuñ na kisī kī huī afsos ḳhabar
mar gae sar kuñ paTak kar pas-e-dīwār kaī
nā-tawāñ mujh sā bhalā kaun hai insāf to kar
chashm-e-fattāñ ke tere garche haiñ bīmār kaī
dil kī betābī se aur chashm kī be-ḳhwābī se
nazar aane lage ab ishq ke āsār kaī
juñ hī wo hosh-rubā aa ke numūdār huā
naqsh-e-dīwār hue tālib-e-dīdār kaī
abrū-o-chashm-o-nigāh-o-mizha har ek ḳhūñ-ḳhwār
ek dil hai mirā tis par haiñ dil-āzār kaī
ai masīhā-e-zamāñ dekh Tuk aa kar ahwāl
ki tirī chashm ke yañ marte haiñ bīmār kaī
khīñch mat zor se shāne ko tū ai mashshāta
dil haiñ us zulf ke bāloñ meñ giraftār kaī
kaf-e-pā haiñ tere sahrā kī nishānī 'bedār'
mar gayā to bhī phaphūloñ meñ rahe ḳhaar kaī
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.