Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

zahiri aankh se pinhan tum ho

Zaheen Shah Taji

zahiri aankh se pinhan tum ho

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    zāhirī aañkh se pinhāñ tum ho

    dīda-e-dil se numāyāñ tum ho

    ġhuncha-o-lāla-o-raihāñ tum ho

    ye gulistāñ gulistāñ tum ho

    har tasavvur se numāyāñ hokar

    har tasavvur se gurezāñ tum ho

    dekh kar jis ko ḳhudā yaad aa.e

    ba-ḳhudā tum ho vo insāñ tum ho

    kho ga.e ek tajallī meñ kalīm

    barq-e-sad tūr-e-badāmāñ tum ho

    qismat-e-jalva-e-hairāñ maiñ huuñ

    qismat-e-dīda-e-hairāñ tum ho

    dil tumhārā hai ke tum ho dil ke

    mezbāñ tum ho ki mehmāñ tum ho

    zahiri aankh se pinhan tum ho

    dida-e-dil se numayan tum ho

    ghuncha-o-lala-o-raihan tum ho

    ye gulistan ka gulistan tum ho

    har tasawwur se numayan hokar

    har tasawwur se gurezan tum ho

    dekh kar jis ko KHuda yaad aae

    ba-KHuda tum ho wo insan tum ho

    kho gae ek tajalli mein kalim

    barq-e-sad tur-e-badaman tum ho

    qismat-e-jalwa-e-hairan main hun

    qismat-e-dida-e-hairan tum ho

    dil tumhaara hai ke tum ho dil ke

    mezban tum ho ki mehman tum ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now