Sufinama

zat us kī koī ajab shai hai

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

zat us kī koī ajab shai hai

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

    zaat us koī ajab shai hai

    jis se sab vāqa.ī ajab shai hai

    vāqa.ī āshiqī ajab shai hai

    āshiqī vāqa.ī ajab shai hai

    jis ke dil ko lagī vahī jaane

    jān-e-man dil-lagī ajab shai hai

    is meñ hargiz nahīñ hai jā-e-suḳhan

    al-ġharaz ḳhāmushī ajab shai hai

    be-ḳhudī gar ho ḳhud to aa ke mile

    ai ḳhudā be-ḳhudī ajab shai hai

    us pe martā huuñ vaqt-e-bos-o-kanār

    terā kahnā na ajab shai hai

    ek se tiis din nibāh ki dost

    ek se dostī ajab shai hai

    muñh pe kah denā aib aib hai ye

    aib-poshī ajī ajab shai hai

    kyā dhuāñ-dār shola-rū hai banā

    uudī poshāk bhī ajab shai hai

    aarsī us se ahl-e-dīd ko hai

    mat kaho aarsī ajab shai hai

    sarv ko us ke qad se kyā nisbat

    munsifo rāstī ajab shai hai

    qibla-o-ka.aba is ko samjhe hai

    haram-e-shaiḳh-jī ajab shai hai

    ek bosa na do na tiin na chaar

    yaar munsifī ajab shai hai

    hoñT hote haiñ vaqt-e-ḳhanda judā

    chup bhalī ḳhāmushī ajab shai hai

    zat us koī ajab shai hai

    jis se sab wāqaī ajab shai hai

    wāqaī āshiqī ajab shai hai

    āshiqī wāqaī ajab shai hai

    jis ke dil ko lagī wahī jaane

    jān-e-man dil-lagī ajab shai hai

    is meñ hargiz nahīñ hai jā-e-suḳhan

    al-ġharaz ḳhāmushī ajab shai hai

    be-ḳhudī gar ho ḳhud to aa ke mile

    ai ḳhudā be-ḳhudī ajab shai hai

    us pe martā huñ waqt-e-bos-o-kanār

    terā kahnā na ajab shai hai

    ek se tis din nibāh ki dost

    ek se dostī ajab shai hai

    muñh pe kah denā aib aib hai ye

    aib-poshī ajī ajab shai hai

    kyā dhuāñ-dār shola-rū hai banā

    udī poshāk bhī ajab shai hai

    aarsī us se ahl-e-dīd ko hai

    mat kaho aarsī ajab shai hai

    sarw ko us ke qad se kyā nisbat

    munsifo rāstī ajab shai hai

    qibla-o-kaba is ko samjhe hai

    haram-e-shaiḳh-jī ajab shai hai

    ek bosa na do na tin na chaar

    yar munsifī ajab shai hai

    hoñT hote haiñ waqt-e-ḳhanda judā

    chup bhalī ḳhāmushī ajab shai hai

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Ehsan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now