Sufinama

zaKHm-e-dil aur hara KHun-e-tamanna se hua

Muzaffar Warsi

zaKHm-e-dil aur hara KHun-e-tamanna se hua

Muzaffar Warsi

MORE BYMuzaffar Warsi

    zaḳhm-e-dil aur harā ḳhūn-e-tamannā se huā

    tishnagī mirī āġhāz dariyā se huā

    chubh ga.ī halq meñ kāñToñ tarah pyaas mirī

    dasht sairāb mire ābla-e-pā se huā

    dil-e-zinda ko chunā dard dīvāroñ meñ

    rok letī mujhe itnā bhī na duniyā se huā

    sar meñ saudā thā magar paañv meñ zanjīr na thī

    ḳhaak uḌātā rahā mansūb na sahrā se huā

    pher diiñ kis ne salāḳheñ mirī āñkhoñ meñ

    kaun añgusht-numā tāq-e-tamāshā se huā

    duur kar mirī āvāz sunī duniyā ne

    fan ujāgar mirā ā.īna-e-fardā se huā

    mizājoñ se ga.ī rañg uḌe chehroñ ke

    ḳhush yahāñ kaun mire dīda-e-bīnā se huā

    ajnabī nazar aayā huuñ 'muzaffar' ḳhud ko

    be-takalluf jo maiñ us ahd-e-shanāsā se huā

    zaKHm-e-dil aur hara KHun-e-tamanna se hua

    tishnagi ka meri aaghaz hi dariya se hua

    chubh gai halq mein kanTon ki tarah pyas meri

    dasht sairab mere aabla-e-pa se hua

    dil-e-zinda ko chuna dard ki diwaron mein

    rok leti mujhe itna bhi na duniya se hua

    sar mein sauda tha magar panw mein zanjir na thi

    KHak uData raha mansub na sahra se hua

    pher din kis ne salaKHen si meri aankhon mein

    kaun angusht-numa taq-e-tamasha se hua

    dur ja kar meri aawaz suni duniya ne

    fan ujagar mera aaina-e-farda se hua

    bu mizajon se gai rang uDe chehron ke

    KHush yahan kaun mere dida-e-bina se hua

    ajnabi sa nazar aaya hun 'muzaffar' KHud ko

    be-takalluf jo main us ahd-e-shanasa se hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now