log kahte hain diwana aagaya
log kahte haiñ divāna āgayā
jab se ham ko 'ishq karnā āgayā
karne raushan apne ḳhud kī zaat ko
ham ko apnā dil jalānā āgayā
'ishq ne parvāz jab se dekh lī
āsmāñ par jānā-ānā āgayā
bazm meñ aayā 'zakī' sab ne kahā
'āshiqī kā āstāna āgayā
log kahte hain diwana aagaya
jab se hum ko 'ishq karna aagaya
karne raushan apne KHud ki zat ko
hum ko apna dil jalana aagaya
'ishq ne parwaz jab se dekh li
aasman par jaana-ana aagaya
bazm mein aaya 'zaki' sab ne kaha
'ashiqi ka aastana aagaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.