haq ne farmai qurani baaten
haq ne farmā.ī qur.ānī bāteñ
ab chupeñgī to kaun sī bāteñ
kaun jaane kahāñ se aatī haiñ
qalb meñ ye Dhakī chhupī bāteñ
raaz hastī ke kholte haiñ jab
achchhī lagtī haiñ aap kī bāteñ
gar ho haqqānī chīrtī haiñ qafas
nahīñ hotī haiñ dil lagī bāteñ
aaj ye raaz jaan le tū bhī
ne.amat hotī haiñ ai 'zakī' bāteñ
haq ne farmai qurani baaten
ab chupengi to kaun si baaten
kaun jaane kahan se aati hain
qalb mein ye Dhaki chhupi baaten
raaz hasti ke kholte hain jab
achchhi lagti hain aap ki baaten
gar ho haqqani chirti hain qafas
nahin hoti hain dil lagi baaten
aaj ye raaz jaan le tu bhi
neamat hoti hain ai 'zaki' baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.