sans mein yar hi ka dam bhar ke
saañs meñ yaar hī kā dam bhar ke
yaar bante haiñ yaad kar kar ke
ham sabhī yaar se juḌe haiñ yuuñ
jaise dhāge hoñ kisī bunkar ke
yaar kā 'ishq yaar kā ho junūñ
yaar tab leñge ruup yāvar ke
aap bhī hoñge yaar ke majnūñ
dekhiye ham se dostī kar ke
yaar kā istivā zakī gardūñ
saare chakkar haiñ ek mehvar ke
sans mein yar hi ka dam bhar ke
yar bante hain yaad kar kar ke
hum sabhi yar se juDe hain yun
jaise dhage hon kisi bunkar ke
yar ka 'ishq yar ka ho junun
yar tab lenge rup yawar ke
aap bhi honge yar ke majnun
dekhiye hum se dosti kar ke
yar ka istiwa zaki gardun
sare chakkar hain ek mehwar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.