koi insan KHata nahin karata
koī insāñ ḳhatā nahīñ karatā
bas chale to vo kyā nahīñ karatā
mahv-e-hairat huuñ is savāl pe meñ
kyuuñ zamāna vafā nahīñ karatā
maiñ to ganjīna-e-javāhar huuñ
vaqt qīmat adā nahīñ karatā
dastaras hai tujhe 'zarīf' agar
kyuuñ kisī kā bhalā nahīñ karatā
koi insan KHata nahin karata
bas chale to wo kya nahin karata
mahw-e-hairat hun is sawal pe mein
kyun zamana wafa nahin karata
main to ganjina-e-jawahar hun
waqt qimat ada nahin karata
dastaras hai tujhe 'zarif' agar
kyun kisi ka bhala nahin karata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.