zeba hai tujhi ko sab zebai-o-ranai
zebā hai tujhī ko sab zebā.ī-o-ra.anā.ī
kyā shān-e-ḳhudā.ī hai kyā shān-e-ḳhud-ārā.ī
kaisī hai vo zebā.ī kaisī hai vo ra.anā.ī
jo hai vo hai shaidā.ī jo hai vo tamannā.ī
dekho to vo hai har-sū DhūñDo to nahīñ miltā
dekhā na sunā aisā jaisā hai vo harjā.ī
har shaan nirālī hai har baat nirālī hai
kis kis ko kahe koī majbūr hai goyā.ī
āñkhoñ meñ guzar karnā is dil meñ utar jaanā
ye kaam hai bas terā ai sūrat-e-zebā.ī
zeba hai tujhi ko sab zebai-o-ranai
kya shan-e-KHudai hai kya shan-e-KHud-arai
kaisi hai wo zebai kaisi hai wo ranai
jo hai wo hai shaidai jo hai wo tamannai
dekho to wo hai har-su DhunDo to nahin milta
dekha na suna aisa jaisa hai wo harjai
har shan nirali hai har baat nirali hai
kis kis ko kahe koi majbur hai goyai
aankhon mein guzar karna is dil mein utar jaana
ye kaam hai bas tera ai surat-e-zebai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.