zindān-e-kāenāt meñ mahsūr kar diyā
zindān-e-kā.enāt meñ mahsūr kar diyā
mahfil se apnī tum ne bahut duur kar diyā
aate ho dene dāvat-e-dār-o-rasan hameñ
jab ham ne tark-e-sheva-e-mansūr kar diyā
fitrat yahī azal se hai barq-e-jamāl kī
us ne jise tabāh kiyā tuur kar diyā
tum ne hamāre zarf-e-nazar par na kī nigāh
saare jahāñ ko husn se ma.amūr kar diyā
'sīmāb' koī martaba mansūr kā na thā
lafz-e-ḳhudī kī sharh na mash.hūr kar diyā
zindān-e-kāenāt meñ mahsūr kar diyā
mahfil se apnī tum ne bahut dur kar diyā
aate ho dene dāwat-e-dār-o-rasan hameñ
jab hum ne tark-e-shewa-e-mansūr kar diyā
fitrat yahī azal se hai barq-e-jamāl kī
us ne jise tabāh kiyā tur kar diyā
tum ne hamāre zarf-e-nazar par na kī nigāh
sare jahāñ ko husn se mamūr kar diyā
'sīmāb' koī martaba mansūr kā na thā
lafz-e-ḳhudī kī sharh na mashhūr kar diyā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.