phaagun ke din aa.e balam jin suurat bisaaro hamaarii

Ali Hussain Ashrafi
MORE BYAli Hussain Ashrafi
phaagun ke din aa.e balam jin suurat bisaaro hamaarii
phaagun ke
piyaa nis bansii kuuk bajaave.n mai.n birahaa kii maarii
byaakul ho.ike mai.n ban-ban Dhuu.nDhu.n khojat-khojat haarii
mile.n nahii.n shaam bihaarii
phaagun ke
aa.e basa.nt sakhii sakh darsan khel rahii.n sab naarii
hamre balam sautan sa.ng riijhe mai.n samjhaavat haarii
sunat nahii.n eko hamaarii
phaagun ke
mintii karat hai daas 'ashrafii' sun lo arj hamaarii
aa.o sayyaa.n garvaa.n mil jaa.o tum par jaa.uu.n mai.n vaarii
jiyo joban balihaarii

- Book : Tahaif-e-Ashrafi (Pg. 105)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.