har ek phuul hu.aa ra.ng-baar holii me.n

har ek shaaKH hai suurat-nigaar holii me.n
gulo.n se mauj-e-shafaq ra.ng khelne aa.ii
'ajab hai arz-o-samaa par bahaar holii me.n
vo surKH-posh gulistaa.n me.n ra.ng khelaa hai
gul-o-saman pe hai turfa nikhaar holii me.n
har ek chiiz se ra.ng-e-vafaa Tapaktaa hai
shahiid-e-’ishq kii hai yaadgaar holii me.n
kuchh is tarah se hu.ii gul pe shabnam-afshaanii
qabaa-e-gul hai javaahar-nigaar holii me.n
jidhar nigaah uThii surKHiyaa.n nazar aa.ii.n
har ek shai hai fasaana-nigaar holii me.n
hai kaa.inaat me.n josh-e-numuu kii jumbish se
har ek zarra kaa dil be-qaraar holii me.n
qadam ke niiche hai farsh-e-zamurradii.n 'raa'naa'
hai sar pe saaya-e-abr-e-bahaar holii me.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.