Font by Mehr Nastaliq Web

baj rahe hai.n madh-bharii aavaaz me.n holii ke saaz

Arsh Malsiyani

MORE BYArsh Malsiyani

    baj rahe hai.n madh-bharii aavaaz me.n holii ke saaz

    khi.nch ke aa.nkho.n me.n na aa jaa.e dil-hirmaa.n-navaaz

    kheltii hai.n ra.ng aapas me.n ku.nvaarii la.Dkiyaa.n

    giit holii ke zabaa.n par haath me.n pichkaariyaa.n

    naaliyo.n me.n gir rahe hai.n log pii pii kar sharaab

    mulk me.n shaayad nahii.n un ke liye ko.ii 'azaab

    de rahaa hai gaaliyaa.n be-nutq har piir-o-javaa.n

    vaah kyaa kahnaa tirii tahziib kaa hindostaa.n

    yuu.n jalaa.ii jaa rahii hai.n sai.nka.Do.n man lak.Diyaa.n

    apne shauhar par satii huu.n jis tarah hinduvaaniyaa.n

    is tarah lak.Dii jalaane se kahii.n chaltaa hai kaam

    kis qadar muhmal hai ai society teraa nizaam

    kuchh ghar aise hai.n jahaa.n jalte nahii.n shab ko charaaG

    Gaur farmaate nahii.n us par magar ahl-e-dimaaG

    lak.Diyaa.n chun chun ke laatii hai.n saro.n par buu.Dhiyaa.n

    jho.npa.Dii se tab kahii.n uThtaa hai halkaa saa dhu.aa.n

    taa-ba-ke ye rasm-e-bejaa taa-ba-ke ye sifla-pan

    aa.o khele.n KHuun kii holii javaanaan-e-vatan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now