Font by Mehr Nastaliq Web

holii aur hindostaa.n

Arsh Malsiyani

holii aur hindostaa.n

Arsh Malsiyani

MORE BYArsh Malsiyani

    ik taraf raahat kaa aur farhat kaa kaal

    ik taraf holii me.n u.Dtaa hai gulaal

    ik taraf yaaro.n kii ’ishrat-koshiyaa.n

    ik taraf ham aur haal-e-pur-malaal

    ik taraf daur-e-sharaab-e-aatishii.n

    ik taraf talchhaT kaa milnaa bhii muhaal

    dekhte hai.n tujh ko jab uThtii hai huuk

    aah ai hindostaa.n ai KHasta-haal

    rahm ke qaabil ye barbaadii tirii

    diid ke qaabil ye teraa hai zavaal

    kis qadar KHuu.n-rez hai kitnaa qabiih

    terii masjid aur mandir kaa savaal

    uf tire beTo.n kii razm-aaraa.iyaa.n

    aah un ke baahamii ja.ng-o-jidaal

    apne farzindo.n ke ye atvaar dekh

    dekh ye laa'nat ke qaabil chaal-Dhaal

    kis qadar zillat ke dil-daada hai.n ye

    be-kamaalii me.n hai.n kitne baa-kamaal

    siina-e-tahziib par hai panja-zan

    diin ke jhag.Do.n me.n un kaa ishti’aal

    daaman-e-akHlaaq par dhabbaa hai ek

    un kii vahshat-kHeziyo.n kaa ittisaal

    ik taraf raahat kaa aur farhat kaa kaal

    ik taraf holii me.n u.Dtaa hai gulaal

    ik taraf yaaro.n kii ’ishrat-koshiyaa.n

    ik taraf ham aur haal-e-pur-malaal

    ik taraf daur-e-sharaab-e-aatishii.n

    ik taraf talchhaT kaa milnaa bhii muhaal

    dekhte hai.n tujh ko jab uThtii hai huuk

    aah ai hindostaa.n ai KHasta-haal

    rahm ke qaabil ye barbaadii tirii

    diid ke qaabil ye teraa hai zavaal

    kis qadar KHuu.n-rez hai kitnaa qabiih

    terii masjid aur mandir kaa savaal

    uf tire beTo.n kii razm-aaraa.iyaa.n

    aah un ke baahamii ja.ng-o-jidaal

    apne farzindo.n ke ye atvaar dekh

    dekh ye laa'nat ke qaabil chaal-Dhaal

    kis qadar zillat ke dil-daada hai.n ye

    be-kamaalii me.n hai.n kitne baa-kamaal

    siina-e-tahziib par hai panja-zan

    diin ke jhag.Do.n me.n un kaa ishti’aal

    daaman-e-akHlaaq par dhabbaa hai ek

    un kii vahshat-kHeziyo.n kaa ittisaal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now