shyaam mori choliyaa bhiij ga.ii saarii
shyaam mori choliyaa bhiij ga.ii saarii
ab bas karo ku.nj bihaarii
el khel sab bhuul gayo hai
jab se maarii pichkaarii
nand ke laal tumkaa naa chahiye
aa.ii thii saran tihaarii
kaun aisaa ra.ng mo par Daal dev hai
jaanat hai.n nar-naarii
man man moraa hovegaa ra.ngiilaa
aur bha.ii matvaarii
kahat 'KHaadim' apne safii suu.n
laaj ga.ii aur sharam hamaarii
dubidhaa man kii chhuuT ga.ii hai
rah ga.ii suurat tihaarii
shyaam mori choliyaa bhiij ga.ii saarii
ab bas karo ku.nj bihaarii
el khel sab bhuul gayo hai
jab se maarii pichkaarii
nand ke laal tumkaa naa chahiye
aa.ii thii saran tihaarii
kaun aisaa ra.ng mo par Daal dev hai
jaanat hai.n nar-naarii
man man moraa hovegaa ra.ngiilaa
aur bha.ii matvaarii
kahat 'KHaadim' apne safii suu.n
laaj ga.ii aur sharam hamaarii
dubidhaa man kii chhuuT ga.ii hai
rah ga.ii suurat tihaarii
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.