phir aan ke 'ishrat kaa machaa Dha.ng zamii.n par

Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
phir aan ke 'ishrat kaa machaa Dha.ng zamii.n par
aur 'aish ne 'arsa hai kiyaa ta.ng zamii.n par
har dil ko KHushii kaa hu.aa aaha.ng zamii.n par
hotaa hai kahii.n raag kahii.n ra.ng zamii.n par
bajte hai.n kahii.n taal kahii.n za.ng zamii.n par
holii ne machaayaa hai 'ajab ra.ng zamii.n par
ghu.ngruu kii pa.Dii aan ke phir kaan me.n jhankaar
saara.ngii hu.ii biin tambuuro.n kii madad-gaar
tablo.n ke Thuke tabl ye saazo.n ke baje taar
raago.n ke kahii.n Gul kahii.n naacho.n ke ba.ndhe taar
Dholak kahii.n jhankaare hai mirda.ng zamii.n par
holii ne machaayaa hai ajab ra.ng zamii.n par
mastii me.n uThaa aa.nkh jidhar dekho ahaa haa
naache hai tavaa.if kahii.n maTke hai bhavayyaa
chalte hai.n kahii.n jaam kahii.n svaa.ng kaa charchaa
aur ra.ng ko galiyo.n me.n jo dekho to har ik jaa
bahtii hai.n uma.nD kar jaman-o-ga.ng zamii.n par

bhaage hai kahii.n ra.ng kisii par jo ko.ii Daal
vo poTlii maare hai use dau.D ke filhaal
ye Taa.ng ghasiiTe hai to vo khii.nche paka.D baal
vo haath maro.De to ye to.De hai kha.Daa gaal
is Dhab ke har ik jaa pe mache Dha.ng zamii.n par

baiThe hai.n sab aapas me.n nahii.n ek bhii ka.Dvaa
pichkaarii uThaa kar ko.ii chamkaave hai kha.Dvaa
bharte hai.n kahii.n mushk kahii.n ra.ng kaa ga.Dvaa
kyaa shaad vo hotaa hai jise kahte hai.n bha.Dvaa
sun.ne me.n yahaa.n tak nahii.n ab na.ng zamii.n par

holii kii 'naziir' ab jo bahaare.n hai.n ahaa haa
mahbuub ra.ngiilo.n kii qataare.n hai.n ahaa haa
kap.Do.n pe jamii ra.ng kii dhaare.n hai.n ahaa haa
sab holii hai holii hii pukaare hai.n ahaa haa
kyaa 'aish hai kyaa ra.ng hai kyaa Dha.ng zamii.n par

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.